Thursday, November 14, 2019

ரஸுல் ﷺ அவர்களின் பெற்றோர்கள் தூய முஃமீன்கள்


*Rasool Allah ﷺ Ke Walidain Momineen Hai*

_Hazrat Imam Mulla Ali Qari Hanfi Al Mutawaffah 1014 Hijri Rehmatullahay'alaih Likhte Hain_
*Is Baat Par Ummat Ka ijma Hai Ke Rasool Allah ﷺ Ke Walid Hazrat Abdullah Bin Abdul Muttalib رضي الله عنه Aur Aapki Walida Hazrat Sayyeda Amina عليه السلام Musalman (Momin) Thay*

*Reference Book*
Sharah Al Shifa
Safa No *601*
*Scan Page*
📗📄👇🏼


*Huzoor ﷺ Ke Wale'dain Ka Zinda Hokar Kalma Padhna*

_9vi Sadi Hijri 9th Century Of_ *Mujaddid* _Hazrat Imam Suyuti Al Mutawaffah 911 Hijri Rehmatullahay'alaih Likhte Hain_

*Rasool Allah ﷺ Apne Waledain Hazrat Abdullah رضي الله عنه Aur Hazrat Amina رضي الله عنها Ki Qabro Par Tashreef Le Gaye Aur Unko Aawaz Di , Dono Apni Qabro Se Zinda Uthay, Aur Phir Rasool Allah ﷺ Ne Unhe Salam Kiya Aur Kaha Aay Ammi Jaan Me Apka Beta Muhammad ﷺ, Me Nabi Banakar Mab'oos Kiya Gaya Hu, Aap Pichli Ummat Me Uthai Jaati , Me Chahta Hu Ki Aap Meri Ummat Me Uthai Jaye ,Aap Kalma Padh Lijiye Take Meri Ummat Me Uthne Ka Apko Sharf Hasil Hojaye, Phir Dono Ko Kalma Padhaya , Phir Dono Apni Apni Qabro Me Aram Farmane Chale Gaye.*
Allahu'akbar'kabira

*Pay Attention*
_Rasool Allah ﷺ Ke Walidain Deen e Ibraheem عليه السلام Par Qayam Thay Aur Unhi Ke Deen e Ibraheem عليه السلام Ke Saath Duniya Se Imaan Ke Saath Wisaal Kar Gaye Thay_ *Isi Liye Huzoor ﷺ Ne Farmaya Ki Aap Pichli Ummat Me Uthaye Jayege Lekin Me Chahta Hon Ki Meri Ummat Me Uthne Ka Sharf Fazilat Mil Sake*

*Reference Book*
Al Khasais ul Kubra
Vol *2* Page *185*
*Scan Page*
📗📄👇🏼