Jhande Lehrane ka sabut
☀Jhande Lehrana kiski Sunnat ?
➡Reference No.01...
🎆Hazrate Amina ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ
farmati hain ki,
🌠"Jab Muhammad ﷺ Ki Wiladat Hui Us waqt Hazrat Jibrail ﻋﻠﯿﮧ ﺍﻟﺴﻼﻡ Ne 3 Jhande Nasab Kiye Ek Magrib Me Ek Mashrik Me Aur Ek Kaabe Ki
Chat par"
💢Is Riwayat Ko Shah Abdul Haq Muhaddith Dahelvi ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ Ne Apni Kitab "Madarijun nabuwa" Jild 2 Me Naqal Kiya Hai....
➡Reference No.02..
🎆Hadees Shareef main aata hai k jub SARKAR ﷺ Madina shareef main dakhil hue to Aap ke haath main sabz jhanda tha.
📕(Wafa al wafa, Vol:1, Pg:243).
➡Reference No.03...
🎆Huzoor ﷺ ki peydaish per Hazrat Jibraeel ﻋﻠﯿﮧ ﺍﻟﺴﻼﻡ ney jhandy garhey.
📕(Khasais Al qubra, Vol:1, Page:82)
☀Naat-e-Mustafa ﷺ Padhna kiski Sunnat ?
➡Reference No.01...
🎆Huzoor ﷺ Hazrat Hassan ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﮧ ke liye Masjid-e-Nabawi shareef me Mimbar rakhte or Hazrat
Hassan ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﮧ us par khade ho kar Huzoor ﷺ ki shaan-e-aqdas me naatia ashaar padhte the or Huzoor ﷺ farmate:
🌠'Jab tak Hassan mere baare me Naatia or fakharia ashaar padhta rahe ga to beshak Allah taala roohul uqdas {Hazrat Jibrail ( ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ )} ke zarye Hassan ki madad farmata hai'!"
📚(Sunan abu Dawood,Kitab ul adab, baab ma jau fi'shaar, Jild 5 Page 176 Hadith No.5015)
📘(Sunan Tirmizi,kitab ul-adab,baab ma jau fi inshad'shaar, Jild 3 Page562,561 Hadith No 2846)
➡Reference No.02...
🎆Hadees main hai ki ek SAHABI ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﮧ ney arz ki ke mujhe Huzoor ﷺ ki wo waali naat sunao jo torait main hai".
📚(Mishkaat shareef, babul fazail, syed-ul-mursaleen, Pg:512)
🌠Kya ab bhi Naat na padhoge
Sahaba Ikraam ki Sunnat par Amal naa karoge ?