Saturday, May 26, 2018

Khade hokar Salat-o-Salam padhne ki wazeh dalil:

Khade hokar Salat-o-Salam padhne ki wazeh dalil:
.
Pehle hum bukhari sharif ki dalil se ye sabit kar chuke hain ki apne Sardar ke liye Tazeeman khade hone ko Khud Nabi alaihis salam ne hukm farmaya hai.
aaj yahan Khade hokar salam bhi padhne ki dalil dete hain.
.
قلنا: يا رسول الله، مَنْ يصلِّي عليك؟
فبكى وبكينا، فقال: «مَهْلاً رَحِمَكُم اللَّهُ وَجَزَاكُم عَن نَبِيِّكُم خَيْراً، فَإذا أنْتُم غَسَلتُمُونِي وكفَّنْتُمُونِي فَضَعُونِي عَلَى سَرِيْرِي هَذا عَلَى شَفِيْرِ قَبْرِي فِي بَيْتِي هَذا، ثُمّ اخْرُجُوا عَنِّي سَاعَةً، فإنَّ أوَّلَ مَنْ يُصَلِّي عَلَيّ حَبِيْبِي وخَلِيْلِي جِبْرِيْلُ، ثُم مِيْكَائِيْلُ، ثُمَّ إسْرَافِيْلُ، ثُمَّ مَلَكُ المَوْتِ فِي جُنُودِ المَلاَئِكَةِ، ثم ادْخُلوا عَلَيَّ فَوْجًا فَوْجًا، فَصَلُّوا عَلَيّ وسَلِّمُوا تَسْلِيْمًا، ولا تُؤْذُونِي بِبَاكِيَةٍ ولا مُرِنَّةٍ، وليَبْدَأ بالصَّلاَةِ عَلَيَّ رِجَالُ أهْلِ بَيْتِي ثُمَّ نِسَاؤُهُم، ثُمَّ أنْتُم بَعْدُ، واقْرَأوا السَّلاَمَ عَلَي مَنْ غَابَ عَنِّي مِن أصْحَابِي وعَلَى مَنْ يَتْبَعُنِي عَلَى دِيني إلى يَوْمِ القِيَامَةِ» .Hadees: Hazrat Ayesha Siddiqa radiAllaho Ta'aala anha ne arz kiya Ya RasoolALLAH Sallallaho alaihe wasallam, Aapki Namaz-e-Janazah kaun  padhayega?
.
Apki ankhon se Aansu girne lage aur farmaya, ALLAH tumpar rehem farmaye aur apne Nabi ki taraf se tumhe jaza-e-Khair ata farmaye.
.
Aahistagi aur Haunsla mandi se kaam lo. Jab mujhe ghusl de chuko aur kafan pehna chuko to mujhe meri isi charpayi pe isi Makan ke kinare rakh dena. Aur ek sa’at ke liye bahar nikal jana kyunki pehle mujhpar mera Habib waa Khaleel Jibreel-e-Ameen alaihis salam Namaz-e-Janaza padhega aur Mikaeel wa Israfeel phir Malikul Maut. Aur unke hamrah farishton ki bahot badi jamat hogi.
.
Phir fauj dar fauj aur giroh dar giroh mujhpar dakhil hoga.
Aur SALAT-O-SALAM PADHTE REHNA. Aur mujhe rone wali aur aah-zaari karne wali aurton se taklif na pahuchana.
.
Chahiye ki mujhpar sabse pehle meri Ahlebait ke mard Namaz-e-Janaza padhen, baaz iske unki aurten aur fir tum Namaz padhna. AUR SALAT-O-SALAM PESH KARNA.
(Wafaul Wafa Baab 17 Wasiyat-e-Mustafa Sallallaho alaihe wasallam)
.
subhanALLAH, yahan Namaz-e-Janaza padhne ki wasiyat ki ja rahi hai aur fir isi ke baad Aaqa Sallallaho alaihe wasallam ne Salat-o-Salam padhne ka hukm farma diya, to Namaz-e-Janaza khade hokar hi padhi jati hai to Salat-o-Salam bhi iske sath Khade hokar hi padha jayega.
.
Scan page������������