*Ghair Muslim Ko Unke Tyohar Ki Mubarak Baad Dena Jaiz Hai...?*
Kaafiron ke kisi Bhi Tyohar (Festivals) manana ya un ke Tarike ya Rasm Appnana ya Sahi Maan na ya Unki Ta'azeem karna ya Mubarak-Baad Dena ye *"KUFR"* Hai.
AL Qur'an : 2 Surah al-Baqarah, Aayat 208 : ﻳَﺎ ﺃَﻳُّﻬَﺎ ﺍﻟَّﺬِﻳﻦَ ﺁﻣَﻨُﻮﺍ ﺍﺩْﺧُﻠُﻮﺍ ﻓِﻲ ﺍﻟﺴِّﻠْﻢِ ﻛَﺎﻓَّﺔً ﻭَﻟَﺎ ﺗَﺘَّﺒِﻌُﻮﺍ ﺧُﻄُﻮَﺍﺕِ ﺍﻟﺸَّﻴْﻄَﺎﻥِ ﺇِﻧَّﻪُ ﻟَﻜُﻢْ ﻋَﺪُﻭٌّ ﻣُﺒِﻴﻦٌ
*TARJUMA-*
-----------------
Aye Emaan walo, Islam me pure Dakhil Ho Jao aur Shaitan ke Raste par Na Chalo, Beshak wo Tumhara Khula Dushman Hai.
*Quran-E-Pak Mein Allah Farmate Hain :*
Aye Iman Walo Neki Aur Sawab Ke Kamo Me Ek Dusre Ki Madad Kiya Karo, Aur GUNAH Aur ZULM Ke Kamo Me Madad Na Karo. (Sura Maida 5/2)
Kyunki Hum Unke Mabood ko Rab Nahi Mante to Unke is Amal ko Ham Gunah Mante Hai Agar Hum Ghair Muslimo ko Mubarak Bad Dege to Gunah Mein Madad Karne Jaisa Hai.
*Quran-E-Pak Mein Allah Farmate Hain :*
Aur Tum KUFR Karo To ALLAH Tum Se Beniyaz Hai Aur Wo Apne BANDO Ke Liye KUFR Ko PASAND Nahi Karta.(Surah Zumar 39/7)
Aur Har Musalman Kafir ke Amal ko Kufr Samajhta Hai. Kufr ki Mubarak Baad Nahi De Sakta Kyunki Allah kufr ko pasand Nahi karta.
*Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Irshad Hai :*
Jis Kisi Ne Kisi GHAIR MUSLIM Ki MUSABHAT Ki (Yani Un Jaisa Amal Kiya) Wo Unhi Me Se Hai...
*Hadees-e-Pak:*
----------------------
(1) Tum me se koi shakhs us waqt tak kamil momin nahi ho sakta jab tak ke uski khwahish at us deen ke taabe' na ho jaaye jise main lekar aaya hu. (Bukhari Shareef).
(2) Jo shakhs jis qaum ki naqal karega (mushabihat ikhtiyar karega) uska hashr usi qaum ke saath hoga. (Abu Dawud sharif, Hadees -4031)
*Fatawa :*
--------------
Kafiron Ke Tyohar Holi, Diwali, Christmas, Etc. Ko Achcha Samajhna Aur In Ki Tazeem Mein Mubarak Baad Dena Kufr Hai..
(Fatawa Rizvia.-volume No.14-Page No. 273)
Aaj Kal Log Apne Ghair Muslim Friends ko unke Tyohar (Festivals) par Mubarak Baad Dete Hai. Logo ka ye modern zehen Ban Gaya Hai ke Hum Sab Ek Hai .
Jab Aap kisi Ghair Mazhab ko unke Eid pe.Mubarak Baad Deya Tho Iska Matlab ye Hai ki Aap Unlog ke Khuda ka Hone ka Dawa Dere Ho.
ALLAH Ta'ala us ke Habeeb Sallallahu Alaihi Wasallam ke Sadqe me Hum Sab ki Iman ki Hifazat farma
Aur Sabko Nek Amal karne ki Taufeeq Ata farmaye.Aur Sab ko Duniya aur Akhirat me Kamyabi ata Farmaye aur Sab ki Nek Jaiz Muraado ko Puri Farmae. "Ameen".