➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*▪TAWIIZAT KA SAHI ISTEMAL▪*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪Aise Taaweez istemaal karna jayez hai jo Qur'aan ki aayato.. Allaah ke naamo.. ya Islaami duao se bane hon..Jaisa ke Imaam Ahmad bin Hambal apni kitaab me ek riwaayat naql farmaate hain ke:..
▪Syeduna Hazrat Abdullaah s/o Amr (Allaah Un se Raazi Rahe! ) Apne samajh-daar bachcho ko sote waqt ye alfaaz padhne ke liye kehte the..
"بسم الله أعوذ بكلمات الله التامة من غضبه و عقابه و شر عباده و من همزات الشياطين و أن يحضرون. "
Aur jo bachche na samajh aur chhote hote aur yaad na kar sakte to aap yehi alfaaz likhkar un ke gale me latkaate the.
*Musnad Imam Ahmad bin*
*Hambal: Hadees 6696*
▪Sadrus-Sharia Hazrat Allaama Muhammad Amjad Ali Azami apni kitaab me Durr-e Mukhtaar + Raddul Mohtaar ke hawaale se farmaate hai..
Gale me Taaweez latkaana jayez hai..jab ke wo jayez chizon se banaya gaya ho..matlab Qur'aan ki Aayato..Allaah ke Naamo..ya Islaami duao se banaya gaya ho..
*Kuchh Hadeeso me jo taaweez se roka gaya hai wo aise taaweez hai jin me naa jayez alfaaz hon..jaisa log kufr ke zamaane me karte the.*
*Bahaar-e Shari'at: Hissa16*
*Mutafarriq Masaail.*
*Raddul Mohtaar: 9/600*
▪Alahzrat Imaam Ahmad Raza farmaate hain..K..
Allaah ke kalaam aur naamo ke amaliyaat aur taaweez zarur jayez hai..Jab ke un me koi baat ya tariqa shariat ke khilaaf na ho..
Misaal ke taur par ye ke koi aisa lafz jis ke matlab maaloom nahi..Jaise..
Ka'aslahoon
Taasoosa
Aasoosa
Maasoosa
Aise alfaaz ki ijaazat nahi..jab tak ke Hadees se.. sahaabi ka amal se.. ya qaul.. ya qaabil-e etemaad buzurgo ke aqwaal se saabit na ho..
Isi tarah Mirgi waghaira ke ilaaj ke liye Murghe ( chicken ) ke khoon se likhte hain..ye bhi naa jayez hai..is ke badle mushk se likh sakte hain,..k wo bhi asl mein khoon hai..
Isi tarah Mohabbat aur Taskheer ( matlab..kisi ko apne qaabu me ) me karne ke liye kuchh taaweez darwaaze ki chokhat me dabaaye jaate hain..k aate jaate us par paau pade..Ye bhi mana aur adab ke khilaaf hai..
Isi tarah kisi aise maqsad ke liye taaweez ya amal karna/karwaana jo shariat ke khilaaf ho..naa jayez hai..
*Jaise auratein shohar apne qaabu me karne ke liye taaweez karaati hain..ye shariat ke hukm ka ulta hai.*
*Allaah ne shohar ko hukm chalaane waala banaaya hai, us ko apne kehne me karna aurat par haraam hai..*
Isi tarah jayez rishtedaaro ke darmyaan judaayi aur dushmani ke amal aur taaweez bhi naa jayez aur gunaah hain..
Misaal ke taur par, bhai se bhai ko juda karna.. miya-biwi me na ittefaaqi paida karna..Ye sab haraam aur gunaah hai..Hadees me farmaaya..
*Jo kisi biwi ko us ke shohar se bigaade ( bad gumaan kare ) wo ham me se nahi.*
*Sunan-e Abu Daawood*
*Hadees 2175*
*Balke baghair shar'ee zarurat ke 2 musalmaano me phoot daalna naa jayez hai.*
▪ *KHULASA..* Ye ke jis amal ya taaweez me koi baat shariat ke khilaaf ho ya maqsad shariat ke khilaaf ho to naa jayez hai warna jayez.
Balke Musalmaan ko nafa pahunchaane ki niyat se achchha aur sawaab ka kaam hai..Hadees me hai:
*Tum me se jis se ho sake apne musalmaan bhai ko nafa pahunchaaye.*
*Sahih Muslim shareef*
*Hadees 2199*
▪Imaam Nawawi Sahih Muslim shareef ki sharh me likhte hain..K..
Jo dua-taaweez kaafiro ke mantaro se ho ya jinke ma'na maaloom na hon wo burey aur najayez hain, kyunke unke ma'na ya to kufriya ho sakte hain ya kufr ke qarib, ya kam se makrooh to hai hi. Aur wo dua-taaweez jo Qur'aan ki aayato aur mash-hoor duao se hon to unse koi paabandi nahi, balke wo sunnat se saabit hain..
Aur usi kitaab me likhte hain ke Qur'aani aayato aur Allaah ke naamo ke dua-taaweez ke jaayez hone par Ulama ka ittefaaq hai.
*Sharh-e Muslim*
*( Nawawi ) : 14/168*
▪Ziyada details Alahazrat ke risaala Fataawa Afriqa page 151 se 157 tak maujood hai.
🏡: *Jamea Nizamiya*
*Salihaat Kurla Mumbai*
*POST AS RECIEVED*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
YE MSG SAVE KARO-FORWRD KARO