GAIR MUSLIMS KO HAPPY DIWALI BOLNA KAISA HAI?
Sawal:
Gairoh ko Happy Diwali bolna kaisa hai?
Ya unke kisi bhi festival par unhe mubarak baad dena?
Aaj kal ye aam hochuka hai business walo mein, offices mein,etc.
Ya unka koi sms aye toh use reply karna…
—————-
Jawab:
Gari muslim ko happy diwali bolna ya unn ko unn ke tyohaar ki mubarkbadi dena durust nahee.
Happy ka matlab hota hai khushi.
kya hum unn ke tyohaar se khush hain?
Kya hum unn ke tyohaar mein hone wale shirk aur kufr se khush hain?
Mubarakbaadi, ek barkat ki duwa hai.
Kya hum unn ke shirk wa kufr mein barkat ki duwa de sakte hain?
Agar nahee, to phir bilkul bolna nahee chahiye.
Issi tarah unn ke tyohaar ki mithayi khana ye bhi haram hai.
Unn ke tyohaar mein hissa lena ya kisi tarah se unn ki madad karna bhi haram hai.
Musalman qaum dene wali hai, lene wali nahee.
Jo qaum dene wali hoti hai uss ka haath ooper hota hai aur jo lene wali hoti hai uss ka haath neeche hota hai.
Gair muslim ke tyohaar se khushi hasil karna ya unn ke tyoharaun mein shamil hona ye uss qaum se lena huwa.
Humein unn ka culture, unn ki tahzeeb unn ke styles lena nahee hai balke unn ko apna culture, apni tahzeeb, apna deen aur apni tauheed dena hai.
unn ke tyohaar ki mubarakbaadi dena ya uss mein shareek hona uss qaum ki mushabahat karna hai.
Iss talluq se ek mashoor hadith hai,
ﻋَﻦِ ﺍﺑْﻦِ ﻋُﻤَﺮَ، ﻗَﺎﻝَ : ﻗَﺎﻝَ ﺭَﺳُﻮﻝُ ﺍﻟﻠَّﻪِ ﺻَﻠَّﻰ ﺍﻟﻠﻪُ ﻋَﻠَﻴْﻪِ ﻭَﺳَﻠَّﻢَ : « ﻣَﻦْ ﺗَﺸَﺒَّﻪَ ﺑِﻘَﻮْﻡٍ ﻓَﻬُﻮَ ﻣِﻨْﻬُﻢْ »
Tarjuma:
Ibn-e-Umar رضي الله عنها ne kaha,
Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسل ne farmaya,
Jo jiss qaum ki mushabahat kare, wo unhein mein se hai.
(Sunan Abu Daud : 4031)