Sunday, September 25, 2016

Allah walo se Madad Mangna Na shirk hai, Na Bid'at hai, Na Haraam hai...

---------- Forwarded message ----------
From: "Gd Aashiq" <gd.aashiq@gmail.com>
Date: 25 Sep 2016 22:51
Subject: Allah walo se Madad Mangna Na shirk hai, Na Bid'at hai, Na Haraam hai...
To: "Gd Aashiq" <file.gd@gmail.com>
Cc:

🍀Allah walo se Madad🍀

🌺Allah walo se Madad Mangna Na shirk hai, Na Bid'at hai, Na Haraam hai...

🌍Allah Rabbul izzat har tarah se Qadir e mutlaq hone ke Bawajood zate khuda ne Apne Bando se Madad Talab farmayi

📝Tarjuma
Ae Iman walo agar tum deen e khuda ki  madad karoge, to khuda tumhari Madad karega & tumhare Qadam jama dega
📚(Para:- 26, surah e Muhammad, Aayat- 7)

🍁Hazrat isaa (alaihissalam) ne dusro se madad mangi
📝Tarjuma
Ae iman walo, deen e khuda ke madad gaar ho jaese ISAA BIN MARIYAM ne hawariyo se kaha tha
Kaun hai jo ALLAH ki taraf ho kar meri madad kare...
📚(Para:-28, Sura e Saff, Aayat-14)

🌹Hazrat moosa (Alaihissalam) ne bando ka ka sahara manga
Hazrat moosa kalimullah ko jab tabligh ke liye Firaun ke paas jane kahukum hua
To unhone bande ki madad hasil karne ke liye bargah e ilaahi me arz kiya
📝Tarjuma
Aur mere liye mere ghar walo me se ek wazeer kar de
Wo kaun mera bhai haroon (Alaihissalam) is me meri Qamar mazboot kar
📚Para:- 16, Sura e TAHA, aayat no. 29,31

💥Nek Bande bhi Madad karte hai

📝Tarjuma
To beshaq Allah Rabbul izzat unka Madad gar hai  aur Jibraeel (Alaihissalam) aur Nek iman wale aur uske baad Farishte madad par hai
📚Para:- 28, Sura e Tahreem, Aayat no. 4

🌺Imam Bushairi (Rahmatullahi alaih)
"Qasida burda" me madad ki darkhwast karte hai
👉Ae tamam makhlooq se behtar mera aap ke siwa koi nahi,
Jiski mai panah lu musibat ke wakt
📚(Qaseeda burda, safa- 36 Ziyaul Qur'aan, Lahaur)

🌸ALLAH Ta'ala jise Aulad de ....
"ALLAH jise chahe Betiya ata farmaye aur jise chahe Bete de
📚Para:- 25, Sura e Shoora, Aayat- 49)

👉Hazrat Jibraeel (Alaihissalam) ne kaha
Mai tujhe Beta du....
Hazrat Jibraeel (Alaihissalam) ne BIBI MARYAM se kaha
Mai tere Rab ka bheja hua hu
Taki mai tujhe ek suthra beta du
📚(Para:- 16, Sura e Mariyam, Aayat- 19)

Pahli aayat me hai
Ki
Aulad sirf Allah ta'ala Ataa farmata hai
Magar iske Bar'aqs HAZRAT JIBRAEEL (alaihissalam) HAZRAT MARIYAM se farma rahe hai ki
" Mai tujhe ek Suthra beta du to kiya ye  SHIRK ho gaya❓❓

Isme Tatbee yu qayam hogi  ki
ALLAH TA'ALA khud Aulaad ata farmata hai aue JIBRAEEL (alaihissalam) Allah ki Ataa se BIBI MARIYAM  ko Beta de rahe hai
Lihaza
In Aayat me barabari ka koi pahlu nahi...
Kyoki
ZAATI aur ATAAYI barabar nahi ho sakte
Jab Barabari nahi payi gayi
To SHIRK bhi na hua

💥Jab Allah ta'ala ne mana nahi farmaya to fir kyo WAHABI , DEWBANDI ko samajh nahi aata...❓❓

Allah ke siwa kisi aur se Madad mangna SHIRK hai Aesa sonchna ye Shaitaan ka khatarnaak waar hai

Haa magar hamara Aqeeda ye zarur hona chahiye ki Haqeeqi MADAD karne wala Allah Ta'ala hi hai
Aur wo Waseele ko pasand farmata hai

Qur'aan o hadees se sabit hai
WAHABI, DEWBANDI, NAJDI, TABLIGHI apna iman durust kar le

AALAHAZRAT farmate hai
"Aaj le Unki panah, Aaj Madad Mang unse...
Fir Na manenge Qayamat me Agar maan gaya...."

Sabhi 40 Din ke Muft ke Muftiyo ke pas Agar Jawab hai
In Daleelo ka to hi baat kare
Varna Faltu ke HARAAM O SHIRK ke Fatwe apne paas rakhe