Wednesday, September 28, 2016

Sama Mota par Shah Abdul Haq Muhaddis Dehelvi ka Aqeeda:

Sama Mota par Shah Abdul Haq Muhaddis Dehelvi ka Aqeeda:
.
Qabr se Salam ka Jawab milna.
.
Fatima Khazaiya kehti hain ki eo roz main Sehra-e-Ohad se guzar rahi thi to maine kaha "Assalamo Alaika ya Amma RasoolALLAH" Maine salam ke jawab me suna "Alaikas Salamo Wa Rehmatullahe wa Barakaatuhu"

(Madarijun Nabuwwa J-2 Pg.207, Red Underline)
.
2: Ataaf bin Khalid Makhzoomi apne Mamu se riwayat karte hain ki unhone bataya ki main Shuhada-e-Uhad ki ziyarat ke liye gaya mere sath do Ghulam the jo mere ghode ki hifazat karte the . unke siva koi na tha,.,
.
kyonki maine suna tha ki RasoolALLAH sallallau alaihe wasallam ne farmaya hai ki Inhe salam karon kyonki ye Zinda hain aur salam ka jawab dete hain. To maine salam kiya aur salam ka jawab suna.
.
Unhone farmaya  " Bila-Shubah ham tumhe pehchante hain" ispar main Haibat se larza barandaam hokar gir pada. phir main jaldi sawar hokar rawana ho gaya.

(Madarijun Nabuwwa J-2 Pg.207 Green Underline)
.
SubhanALLAH,
.
ye sabhi riwayaten is baat ki dalil hain ki Qabr wale hamari baaton ko sunte bhi hain,. hamare salam ka jawab bhi dete hain. 
Aur Jab Shuhada zinda hain to Ambiya badarja Awla zinda hain.
.
Scan Page 👇🏻